Kuch atpati si hain kuch chatpati si hain
Kuch atrangi hain kuch satrangi hain
Thodi manchali hain thodi chulbuli hain
Kuch aisi si hi hain meri Sangini
Thoda rulati par aksar hasati hain
Kabhi mayoos toh kabhi khilkhilati hain
Bade budo ko gale se lagati hain
Kuch aisi hain meri Sangini
Aainey se pata nahi kya batyati hain
Balo ki rangat se thoda ghabrati hain
Naye naye vastro se kuch khil se jati hain
Kuch aisi hain meri Sangini
Handbag ka ghar par ambar lagati hain
Aksar unme kuch bhul jati hain
Ghar ko phir ser pe uthathi hain
Gussa thoda kabu nahi kar pati hain
Kuch aisi hain meri Sangini
Bacho pe jaan woh lutati hain par unko apne harkato se khub pakati hain
Sab subjects mein haath tang par angrezi mein maharat pati hain
Kuch aisi hain meri Sangini
Kitchen se koso dur, baki har jagah pe pai jati hain,
Nit naye vayanjan ke liye restaurant ki duhaar lagati hain
Muje naye vayanjan banane ke liye batati hain
Kuch aisi hain meri Sangini
Khub ladti jhagarti hain, jhasi ki Rani ban jati hain
Uchey taapman se niche taapman mein aane mein kuch waqt lagati hain
Par phir se sabko gale laga kar purani baatein bhul jati hain
Kuch aisi si hain meri Sangini
Ghar ki woh sthamb aur har rishto ko pirone wali muskaan hain
Hum sab ki saans aur hamari aastha ka parinaam hain
Meri acchio ki den aur parivar ki jaan hain
Bas aisi si hain meri Sangini
To join us on Facebook Click Here and Subscribe to UdaipurTimes Broadcast channels on GoogleNews | Telegram | Signal