Mein, Nadi aur Parvat


Mein, Nadi aur Parvat

Mein, Nadi aur Parvat, potery by Anees Ahmed

 
Mein, Nadi aur Parvat

Hu Baitha Medh Par,

Dono Hath Ainth Kar,

Kinara Nadi Ka Khula Samane,

Akela Hu Mein, Akeli hai Nadi!

Apne Tha se Bichadkar,

Baithi hai Sagar ki Aur,

Dharti ka Niyam Hey,

Kichha Jata Hai

Nar Naari ki Aur,

Bhanvra Pushp ki Aur,

Nadi Sagar ki Aur !

Mein aur Parvat, Ek Jaise hai Hum

Antar bhi hai kahi Adhik to Kahi Kum,

Mere Sang Data Nahi aur Uske Paas Sutha Nahi hai,

Parvat ki Tanik bhi Gali nahi,

Apitu, ye Sansar Dusth Hai,

Iske Aage Kisi ki Chalti Nahi,

Isliye Ji Raha hu Mein,

Kintu ye Achal hai ki Chalta Nahi!

Ab Jita hu Mein,

Soch Kar Ki Likha hua hai Sab,

Isi Aas mein Kahi koi Bana hua hai Mere Liye,

Akela hu mein, Akela hai Parvat,

Bas Koi Haath Tham le!

Poetry by Anees Ahmed, Anees is 15year old and studying in St Paul’s.

To join us on Facebook Click Here and Subscribe to UdaipurTimes Broadcast channels on   GoogleNews |  Telegram |  Signal